Friday 12 September 2014

Dozakh by Ramin Rana

aik aur majbur raat aasman k roshan sitaray aik bar phir mujhy kuch sochnay pa majbur ker rahay hain mujhy jhinjhorr jhinjhorr ker yeh yad kera rahay hain k ma aik insan hun mujhy yeh sochnay per majbur ker rahay hain k meri iss zindagi ka maqsad hai janay q aj iss sawwal sa nazrain phairna itna mushkil q ho raha hai. jb sa hosh sambhala hai iss sawwal sa nazrain churatay hi to umar guzri hai meri. magar janay q aj yeh mera zameer mujhy sonay q nahi daita yeh mujh sa kahta hai k utho aur apnay ird gird nazrain dorrao wakt k sath sath to sirf qyamat ko kareeb ana chahiye tum log to pura dozakh hi zameen pa utha lai ho.  wah! wah! kia jangal ka kanun hai jis ki lathi uss ki bhains unchay uhday aur paisay walun ki hi izzat hai unhi ki zindagi zindagi aur hum kia bas zindagi ki aik bhondi si nakal utar utar ker hi khush ho rahay hain. ma na itni mushkil sa apnay zameer ko samjhaya k array hum iss nakal ma hi khush hain magar dil to akhir dil hai kahan samajhta hai kahnay laga iss duniya ma aesay bhi log hain jin ko ye nakl bhi mayassar nahi ma na iss bat pa kan na dharray to mera zameer shuru hua kahnay ko jin k paas lathi i hi nahi unn ko kia haq hai bhains (izzat o waqar ) rakhnay ka.

barri mushkil sa ma na iss mozuh sa muh morra aur ankhain mund k neend ka intizar kernay lagi k aik dam meray murda zameer jis ko ma na barri mushkil sa thapakk thappak k sulaya tha shaid mera zameer subah sadiq k diay ki trah bujhnay sa pahlay aik bar tez lo da raha tha uss na aik bar phir mujhy jhinjhorr k jagaya . uss na kaha aey insan uth aur daikh apni bnai hui dozakh ka aik namuna kashmir ma daikh maaon k laal katay ja rahay hain kia inn ka tujh pa koi haqq nahi???  aey insan tu aPnay musalman bhaion ko daikh k ankh q churata hai? q nahi inn ki madad k liye kuch kerta aik musalman ka haqq hai k jab woh mushkil ma ho to uss k musalman bhai uss ki "hattal maqdur " madad kerian lafz hattal maqdur na mujhy khasi taqweet di meray andar k shaitan na kaha wah gi achi bat hai meray to bas ma to kuch hai hi nahi ma qker unn ki madad ker sakti hun.

ab tak ma bohat thak chuki thi magar najanay aj meray ander kia halchal bappa thi janay q aj neend mujh pa maharban nahi ho rahi thi abhi inhi sochon ma thi k aik damm manzar phir badal gya ab meray samnay falasteen k musalman bhai thay jo shaeehd huay thay woh bacchhay thay jo yateem huay thay woh ruhain thin jo majruh hui thin ma na aik bar phir manzar sa nazrain phair lin magar ab k jo manzar ma na daikha uss na mera dil dahla dia

ma na apnay aap ko uss insan k rup ma daikha jis k apni bhians ko hanknay ko lathi na thi meri ankhain khul gain pura jism kapkapanay laga aur paseenay k nanhay nanahy katron sa tar ho gya aur ankhain bhar aain. galay ma kantay sa ugg aai aur iss sa pahlay k pyas ki shidat ko kam kernay k liye ma pani ki taraf hath barrhati ma na apnay aap ko kashmir ma paya bain kertay hoay rotay huay kisi apnay ka matam kertay huay abhi ma issi gham sa na nikli thi k gaza phoanch gai aur mujhy anay chahray pa kuch garam aur tar sa mahsus hua aur jab ussay chua to ata laga k ansu nahi kisi insan ka lahu hai aur ussi wakt apnay sinay ma bohat sa dard uthta mahsus kia kuch thanda sa aa ker mujh sa takraya tha aur ma soch hi rahi thi k toba k darwazay mujh pa band ho chukay hain ab ankh khuli to khud ko dozakh ma paaun gi k kahin sa azan fajr ki awaz meri samaton sa takrai ma na apni dua ma girgirra k dua ki aey allah mujhy meray iss khuwab ka maqsad to samjha da aur phir aik bijli si chamki meray dimagh ma unn tamam manazir ma jin ko ma na bad ma daikha aik cheez bilkul aik si thi aur woh yeh k kisi ko bhi meri mushkil ya meri majburi sa koi wasta na tha her koi bas khamosh tamashai bana kharra tha jaisay ma na humaisha kia tha ma janti thi k ma maidan e jang ma nahi ja sakti magar kia jahad ki sirf aik hi kisam hai islam ma to jahad ki bhi itni iksam byan ki gai hain to hum q jhad bilqalam ya kisi aur kisam ka jahad ker k Apnay bhaion ki madad kertay