Saturday 7 February 2015

chahry ka parda.........!!!

 
asslam o alikum!
barhy arsy sy "pardy" ki haqaniyat k bary mery chand "roshan khyal"aur "taraqi jadded k shaida"(jis ki asal wo westren civilization ko samjhty hain) mjy yeh jumla kah kr chup krwa dia krty thy....
yar agr chahry ka parda b hota to ayyam e haj main kion aurat ko apna chahra khula rakhny ka hukam hota??? yeh tum logon ki faqat zahni pasmandgi h, tum aurton ko sirf ghr main muqayyad rakhna chahty ho.... tum bas apny mazi ki kahanian hi yad krty rahna, mardo zan ko aik saf main khrha krny sy hi maghrib ny taraqi ki h wagaira wagaira......

main apny in karam farmaon sy hamisha hi barhy adab sy iltmas krta k hazoor ye hukam kia sahaba ny ya tabeen ny nhi suna tha? kia quran jb aurton ko apni zeenat chupany aur brhi chahdrin aorhny ka hukam daita h to phir ham jawaz nikalny ka kia matlab..... magrib ki zahni halat to ap b mulahza farmaty hain k un main janwaron sy b km sharm h... apni jinsi zaroriyat k liy wo maan, bahn ya baiti ka istmal bilkul darust samjhty hain aur isi ka naam agr tarqi h to ham "pathr" k zamany main hi bhaly....

arsa bad achanac meri nazr sy hazrat sheikh zulfiqar d.b k khutbat py mushtamil kitab "soo y haram" guzri to us main cahry k pardy k mutaliq jo sada alfaz main unhon ny bataya h wo mery dil main utr gya....
you all must read this....... jazzak Allah
 

No comments:

Post a Comment